Content on this page requires a newer version of Adobe Flash Player.

Get Adobe Flash player

 
Aao Kuch Aaisa “Maahol” Bannaya Jaaye
“Aadmi” Ko “Insaan” Bannaya Jaaye
“Aag” Behti Hai “Jehlam” Mein Yahaan
“Aag” Behti Hai “Ganga” Mein Wahaan
Koyee Bataaaye – Ki – Kahaan Jaa Ke Nahaaya Jaaye?
Paani, Hawa, Mitti, Zameen –O-Aasmaan
Koyee “Mazahab” Nahin Inn Ka-
Na Koyee “Riyaasat” – Na Koyee “Siyaasat” Inn Ki
Na Koi “Mandir”, Na Koi Masjid Innki
“Pandit” – Wa – “Mullah” Haain Sab Maalik Yahaan
“Qaid-Khaane” Haain Ban Chuke Mandir – Wa – Masjid Yahaan –
Logon Ki “Zameer” Hai Aaj “Qaid” Yahaan
Milti Thee “Maala” – Wa – “Taveez” Jahaan –
“Barood” – Wa – “Bandooq” Ki Hai Ab “Dukaan” Wahaan.
Na Koyee “Chidiya” “Hindu” – Na Koi “Toata” “Musalmaan”
Baqri, Bundar, Sher – Wa – Haathi, Koyee “Mazhub” Naheen Inn Ka
Na Koyee “Riyaasat” – Na Koyee “Siyaasat” Inn Ki
Na Koi “Pandit” Inn Ka, Na Koi “Mullah” Inn Ka
Na Koi “Mandir”, Na Koi Masjid Innki
“Kaash – Ke – Aaisa Hota
Jiss “Daal” Pe “Chidiya” Uss Daal Pe “Toata”
“KAASH – KE – AAISA HOTA”
Copyright @2013 Raaj Grover Powered by Intellisys