Poems From My Heart
 

Yoon Tow “QUDD” Mera Ooncha Naheen,  Rait Ke Teeley Pe Maain Kabhi Thera Naheen,
Pairon Ko Apne Dhasne-Na-Diya Rait Mein,  Maain Buss Chalta-Hi Chalta Raha iss Rait Per - Aur - Issi Safar Mein Kuch Do-Char Ko Aasmaan Ko Choote Dekha - Aur - Kaiyon Ko Wohan Se Girte Dekha.
Iss ‘MAYANAGRI” Mein Rehte Rehte Khoob Jaanta Hoon Maain – Log Bhale Jaane-Na-Jaane
Maain Naheen Kehta Ki Maain Andhon Mein Tha ---
No Koyee “GILA” – Na Koyee “SHIKWA” Mujhe – Per - Itna Tow Zaroor Kahoon - Ga – Ki – Aankh-walon Ne Mujhe Dekha Naheen.
 
Hum Apne Aap Pe Gharoor Naheen Karte
Kissi-ko Pyar Karne Per Majboor Naheen Karte
- MAGAR -
Jissey Ek Baar ‘DIL’ Mein Bassaa Lete Hain
Ussey Kabhi ‘DIL’ Se Dooor Naheen Karte
 
Kaun Rakhta Hai Yaad “NAAM” Ko ?
Log Tow Chehre Taq Bhool Jaate Hain
Aap-Ko Sammunder Ki Gehrayee Kam Lagti Hai
Doobne-Waley Tow Aankhon Mein Bhi Doob Jaate Hain
 
Apnon Ke Saath “WAQT” Ka Patta Naheen Chalta
              - PER -
Apnon Hi Ka Patta Chal Jaata Hai “WAQT” Ke Saath
“WAQAT” Naheen Badalta Apnon-Ke-Saath
               - PER -
Apne Zaroor Badal Jaate Hain
Waqt Ke Saath
 
Yahaan Neechey “MAAIN” Hoon
             - AUR –
Ooper Wo “RUBB” Mera
Hum Donon Ik-Dooje Ke Liye Tow Hain Hi
           - PER –
Roz Hum Donon Alag-Alag
Ek Baat Bhool Jaate Hain
          “WO”
Meri “GHALTIYON” Ko
           AUR
Maain Uski “MEHERBAANIYON” Ko.
 
Soch Badal Do
Sittarey Badal Jaayen Ge
Nazar Badal Do
Nazzarey Badal Jaayen Ge
Toofan Aaye Gar Saagar Mein
Kashti Na Badalna
Disha Badal Do
Kinnarey Badal Jaayen Ge
Copyright @2013 Raaj Grover Powered by Intellisys